समय से पहले बाल सफेद हो रहे हैं तो अपनाएं ये उपाय Baal Safed Hone Ka Ilaj

white hair problem solution in hindi

Baal Safed Hone Ka Ilaj – Umra badhane ke saath – saath balon ka safed hona behad svabhavik hai lekin badalti lifestyle, pollution aur khaanpaan ki gadbadi jaise bahut change ke falswaroop balon ka kam umra me safed ho jaana aaj har 4 me se ek person ki samasya to hai hi.

Aap balon ki chahe jitni colouring kar le, dye se chhupa le ya safed baal hata le, ye sab aapki samsya kaa effective solution kabhi nahi ho sakte hai. Iske liye yah samajhna behad jaruri hai ki is problem ki jad kya hai tabhi isse nipatne me aapko aasani hogi.

Samay Se Pahle Baal Safed Kyon Hote Hai समय से पहले बाल सफेद क्यों होते हैं 

✔ Samay se pahle baal safed hone ke pichhe koi ek reason ho, aisa jaruri nahi hai. Is problem ke pichhe in sanbhavit reasons me se kuch bhi aapke baalon ko time se pahle safed kar sakta hai.

✔ Khaanpaan me gadbadi ki problem se bhi baal time se pahle safed ho jate hai. Vitamin B, Iron, Copper aur Iodine jaise tattvo ki kami se aksar yeh problem hoti hai.

✔ Jo log chhoti-chhoti baato par bahut adhik tension lete hain unke baal bhi kam umar me hi safed ho jaate hai. Itna hi nahi jinhen Ghabrahat, Panic Attack, Dar, Jalan aadi problems bahut adhik hoti hain, unke saath bhi yah problem adhik hoti hai.

✔ Kuch logo ko yah problem anuvanshik roop se hoti hai. Aisi sthiti me is problem ka solution behad mushkil hota hai.

✔ Jo log apni cleaning me aksar kotahi karte hai unhe bhi yah problem adhik hoti hai. Khaastaur par agar baalo ki safaai sahi tarike se nahi hoti hai, to bhi yah problem ho sakti hai.

✔ Lambe samay tak bimaar rahne vale logo ke baal bhi jald safed hote hai.

✔ Paryavaran me Maujood pollution se bhi kam umar me baal safed hote hain.

✔ Bahut adhik chemical wale shampoo, chemical, dye ya colour aur mahek wale oil se bhi baal safed hote hai.

Baal Kaale Karne Ke Liye Change Your Routine रुटीन में लाएं ये बदलाव

Kam umar me baal safed hone se kuch had tak rokna hai to apni lifestyle me ye badlao jarur kare.

✔ Healthy aur balanced diet le. Vitamin B se bharpur bhojan, Dahi, Hari Sabjiya, Carrot, Banana aadi ka sevan kare. Inse sir me blood circulation theek hota hai aur baal bejaan nahi hote.  

✔ Chemical hair colour aur dye se dur rahe. Kai bar inke use se kuch time ke liye bhale hi aapke baal black dikhte ho lakin doguni teji se baal safed bhi hote hai.

✔ Agar aap bahut tej mahek vale oil ka use karte hai to inki jagah coconut ya sarso ke oil ko use kare. Isse baalo ki coloring lambe samay tak barkarar rahegi.

✔ jis tarha dhoop me nikalne se pahle aap apni skins ko skarf se dhankte hai, usi tarah baalo ko bhi pollution se bachana important hai. Traifik ke beech baalo ko cover karke rakhe.

✔ Baal lambe samay tak apni rangat na khoye iske liye aap bejhijhak hokar amla, shikakai aadi ka upyog kare. Amle ko na sirf diet me shamil kare balki mehndi me milakar ya ghol bankar baalo ki conditioning karte rahe. Chahe to amle ko bareek kaat le aur garam coconut oil me milakar sir par lagaye. Isse bhi baal safed nahi honge.

✔ Kadhi patta khane se bhi baal jaldi safed nahi hote. Bhojan me kadhi patte ka use bhi kare. Amle ki tarah hi kadhi patte ko bhi bareek kaat le aur garam coconut oil me milakar sir par lagaye.

✔ Natural hair dye ka use kare jaise mehndi, chaypatti ka pani, chukandar ka rus. Inse baalo ko jaruri tattv bhi milenge aur inka colour bhi barkarar rahega.