Balo Ka Jhadna Rokne Ke Gharelu Upay बालों का झड़ना रोकने के आयुर्वेदिक व घरेलू उपाय

Balo Ka Jhadna Rokne Ke Gharelu Upay

Balo Ka Jhadna Rokne Ke Gharelu Upay कैसे रोकें बालों का झड़ना? / बालों का झड़ना रोकने के आयुर्वेदिक व घरेलू उपाय

Dosto, shayad hi koi aisa vyakti ho jo ghane, strong aur healthy baalo ki ichchha na rakhta ho. Yu to baalo ko lekar ladke ladkiya sabhi conscious rahte hai lekin females apne baalo ko le kar kafi sajag hoti hai. Baal hamare outer appearance ko bahut had tak prabhavit karte hai. Asamay  baal safed ho jane ya jhadh jane se vyakti apni asal umar se bda dikhne lagta hai aur uska atmvishvaas bhi prabhavit ho sakta hai.

Hamare scalp (sir ki twacha) par lagbhag 1 lakh baal hote hai aur rojana 50-100 baalo ka tut jana samany mana jata hai lakin agar snkhya isse adhik hai to ye ek chinta ki baat hai. Isi tarah baalo ka safed hona bhi ek natural phenomenon hai, umar ke sath saath kuch baal white hote jate hai, lekin aajkal dekha jata hai ki school jane vale bachcho ke aur kam umar ke vayaktiyo ke bhi baal safed hone lage hai, aur ye bhi ek chinta ki baat hai. Aaj is lekh me ham hair loss ke reason aur usse chhutkara pane ke upayo ke bare me baat karenge.

हम यहाँ ये सब जानेगे –

  1. बालों के झड़ने या गिरने के कारण Causes of Hair Loss in Hindi
  2. बालों में तेल मालिश करें Oil Massage Is Good For Preventing Hair Loss Hindi
  3. बालों में आंवले का प्रयोग करें Use of Gooseberry for Stopping Unnecessary Hair Loss
  4. बालों में मेथी का प्रयोग करें Use of Fenugreek for Preventing Hair Loss
  5. बालों में प्याज का रस प्रयोग करें Pyaj Ka Prayog Kare Hair Loss Ke Liye
  6. बालों में अलोवेरा का प्रयोग करें Use of Aloevera for Good Hair Growth Hindi Me
  7. मुलेठी की जड़ का प्रयोग Balo Me Mulethi Ki Jad Lagaye
  8. गुडहल का प्रयोग करें Hair Fall Rokne Ke Liye Gudhal Ka Prayog Kare
  9. चुकंदर का प्रयोग करें Use of Beetroot for Hair Loss Treatment in Hindi
  10. अलसी के बीज का प्रयोग करें Hair Fall Rokne Ke Liye Alsi Ka Prayog Kare
  11. नारियल का दूध लगायें Coconut Milk For Hair Loss Treatment Hindi Me

Aaiye sabse pahle hum baalo ki in problems ke karano ko jante hai:  

बालों के झड़ने या गिरने के कारण Causes of Hair Loss in Hindi

  1. Galat khanpan
  2. Kuposhan (Mal-Nutrition)
  3. Pollution
  4. Baalo ki sahi dekhbhal na hona
  5. Khadhy padartho me milavat hona
  6. Cigarette smoking ya koi nasheele padartho ka sevan karna
  7. Tension ya stress lena
  8. Scalp Me Infection Ka Hona
  9. Body Me Hormonal Imbalance Ka Hona
  10. Kuch Davaon ke side effects ke karan
  11. Kuch medical condition e.g. thyroid, iron-deficiency anemia, chronic diseases etc
  12. Hereditory ya genetic reason ka Hona
  13. Garbhavastha me ya cancer ke ilaj ke dauran bhi baalo ki problem hoti hai, lekin ye ek samany baat theek ho jaati hai.

Baalo ke poshan ke liye kam blood milne par, ya body ka blood dushit ho jane par bhi baal kharab ho sakte hai. Baalo ke hole badhit ho jane par bhi baalo ka poshan ruk jata hai. Mansik taur par adhik udaseen rahne par ya fir purane jukham ke karan dushit pani baalo ki jado me mishrit (sanchalit) ho jane par bhi baalo ki gambhir problem utpann ho sakti hai.

Jis tarah body ko nity vyayam duara healthy rakha jana chahiye, theek usi tarah baalo ko amuly ayurvedic aushadhi upayo duara swasth rakhna chahiye. Baalo me samay samay par oil massage karni chahiye, aur bhojan me paushtik aahar grahan karna chahiye, hari sabjiyo aur mausami phalo ka sevan jarur karna chahiye. Oil massage ke liye aap amla, coconut, almond, aadi oil ka use kar sakte hai.  

यह भी पढ़ें –  Mehndi Dark Colour And Long Lasting Tips in Hindi मेहँदी का गहरा रंग पायें

Top 10 Ayurvedic Ways and Home Remedies To Prevent Hair Loss in Hindi

1. तेल मालिश Oil Massage Is Good For Preventing Hair Loss Hindi

Baalo ko healthy rakhne ke liye oil massage ek behad saral aur asardar upay hai. Massage karna hair follicles me blood flow sahi kar deta hai, scalp ko condition kar deta hai aur jado ko strong karta hai.

Massage ke liye aap almond oil, olive oil, coconut oil, amla oil, argan oil, ya wheat germ oil ka paryog kar sakte hai. Massage ka sahi tarika hota hai apne fingertips se halke pressure ke sath massage karna.

Hafte me kam se kam ek baar oil massage karni chahiye.

2. आंवले का प्रयोग Use of Gooseberry for Stopping Unnecessary Hair Loss

Amle ka sevan baalo ke liye kafi upyogi hota hai. Amle me vitamin C prachur matra me hota hai, iski kami hair loss ka karan ban sakti hai.

तरीका Kaise Use Kare

Ritha, amla aur shikakai saman matra me le kar unka kadha bana kar us kadhe se sir ko wash kar liya jaye to bhi baal ghane lambe aur mulayam silk ban jate hai.

Mango ki guthli aur amla ko saman matra me le kar unhe pees kar sir par lagane se baalo ki jade strong banti hai.

Amla ke phalo ko pees kar nimbu ke ras me mila kar lagane se dandruff dur ho jati hai.

Ek spoon nimbu ko pise hue amle ke saath mila le aur us mixchar se scalp par achchhi tarah malish kare. Baalo ko shaver cap se cover kar le aur rat bhar ke liye chhod de aur subha uthkar shampoo kar le, aisa karne se dandruff dur hone ke saath saath baal sunder bante hai aur baalo ka girna band ho jata hai.

3. मेथी का प्रयोग Use of Fenugreek for Preventing Hair Loss

Methi ko baalo ka jhadna rokne me kafi asardar mana jata hai. Methi ke dano me hormone antecedents paye jate hai jo baalo ke badhne aur hair folicals ko rebuild karne me madad karte hai.

तरीका Kaise Use Kare

Ek cup methi ke dane ko raat bhar pani me bhigo de. Subha unhe pees kar ek pest tayyar kar le. Pest ko scalp par lga le aur 40 minut ke liye chhod de. Time pura ho jane par sir ko pani se achchhi tarah dhoo le. Is prakiriya ko ek mahine tak dohraye.

Aisa karne se na sirf baalo ka jhadna kam hoga balki aapko new hair growth bhi dekhne ko milegi.

Dry (rukhe-sukhe) baal, aur dandruff vale baalo ki problem dur karne ke liye methi ke dano ko suddh mithe paani me pees kar ratri ke samay (sone se purv) baalo ki jado me lagana chahiye.

इसे भी पढ़ें – Balo Ko Jaldi Lambe Karne Ke Gharelu Upay बालों को तेजी से लम्बा करने के घरेलू उपाय

4. प्याज का प्रयोग Pyaj Ka Prayog Kare Hair Loss Ke Liye

Pyaj (onion) me antibacterial properties hoti hai jo scalp me kisi bhi tarah ke infection ko theek kar deti hai jisse hair loss kam ho hata hai.

Pyaj me sulfer bhi kafi adhik marta me paya jata hai jo hair folicals me blood circulation sahi karne me help karta hai.isme protein aur nicotine acid bhi paya jata hai jo hair ke ugne me help karta hai.

Kuch studies me dekha gya hai ki jo log apne scalp par pyaj ka ras lagate hai unke baal puna teji se badhte hai.

तरीका Kaise Use Kare

  • Ek katori me thoda sa onion juice nikaal le aur use directly apne scalp pe lga le.
  • 30 minut baad ise dho le aur fir baal me shampoo kar le.

Iske alava aap ye bhi kar sakte hai:

3 spoon onion juice ke saath 2 spoon aloevera gel mila le, chahe to isme 1 spoon olive oil (jaitoon ka tail) bhi add kar le. Is mixture ko 30 minut tak scalp par laga kar chhod de aur uske baad shampoo kar le.

Upar batai gayi dono vidhiyo me se kisi ek ko ek month tak hafte (week) me 2 se 3 baar kare. In tariko se aapke baalo ki growth me bahut help hogi.

Pyaj ke ras aur adrak ke ras me sendha namak mila kar ganje sir par lagane se baalo ke ugne ki sambhavna ban jati hai. Adrak ka ras baalo ke rogo ko bhi dur bhagata hai.

Ek gilas pani me ek spoon pyaj ka ras mila kar us pani se baalo ko dhone se baal nirogi bante hai. Sir ka ganjapan dur karna ho to,pyaj ka ras waha lagane se baal ug aate hai. Shahad (hony) aur pyaj ka ras mila kar baalo ki jado par lagane se baal jhadna ruk jate hai.

5. अलोवेरा का प्रयोग Use of Aloevera for Good Hair Growth Hindi Me

Aloevera me kuch enzymes paye jate hai jo hair growth me help karte hai. Saath hi isku alkaline properties scalp ka pH level banaye rakhti hai jo baalo ke ugne me sahayak hai.

Aloevera gel ya juice ka use scalp me khujli, lalpan aur jalan ki problem ko dur karta hai, dandruff ko kam karta hai aur baal ki majbuti aur chmak ko badhata hai.

तरीका Kaise Use Kare

Aloevera gel ya juice ko scalp par laga kar kuch ghanto ke liye chhod de aur fir use halke garam pani se dho le. Aisa hafte me 3 se 4 baar kare.

Aap better hair growth ke liye rojana ek chammach aloe vera juice bhi pi sakte hai.

6. मुलेठी की जड़ का प्रयोग Balo Me Mulethi Ki Jad Lagaye

Mulethi ki jad ek aisi jadi buti hai jo baalo ke liye bahut labhdayk hai. Iske sevan se hair loss problem ko control kiya ja sakta hai.

Mulethi ki jad me aise gun hote hai ki ye scalp pe maujood chhidro ko khool dete hai, aur rukhi-sukhi satah ko theek kar dete hai.

Iske paryog se dandruff, baldness aur baalo ka tutna-jhadna roka ja sakta hai.

तरीका Kaise Use Kare

Ek chammach mulethi ki jad ko ek cup dudh (milk) me mila de aur usme thoda sa kesar daal kar achchhi tarah mila de.

Jaha-jaha ganjapan hai vaha is leep ko raat ko sone se pahle laga le. Subah uthkar ise dho le.

Yah prakriya aap hafte me ek ya do baar kar sakte hai.

Mulethi ki jad ka sevan isse bani chay (tea) ke roop me bhi kiya ja sakta hai, yah bhi baalo ke liye labhdayak hai.

Baalo ko ghana aur lamba banane ke liye mulethi ka kadha bna kar usse baal dhone chahiye.

Til aur mulethi ko bhais (buffalo) ke gadhe dudh me mila kar, unhe pees kar baalo par lagana chahiye, isse baal jhadna band ho jate hai.

7. गुडहल का प्रयोग Hair Fall Rokne Ke Liye Gudhal Ka Prayog Kare

Gudhal ke phool me aise kai gun hote hai jo baalo ke liye bahut upyogi hai. Iske use se do muhe baal, dandruff aur baalo ka jhadna roka ja sakta hai.

Gudhal ke use se baalo ka white hona bhi kam kiya ja sakta hai aur baal ghane bhi kiye ja sakte hai.

तरीका Kaise Use Kare

  1. 2 cup coconut oil me 10-12 gudhal ke phool daal de.
  2. Ab is ghol ko kisi kadhai me daal kar achchhi tarah khaula le.
  3. Thanda ho jane par ghol ko chhan kar oil alag kar le.
  4. Raat ko sone se pahle baal me ye oil laga le.
  5. Subah uthkar baal wash kare.
  6. Yah prakriya hafte me 2-3 baar dohraye.

Gudhal ke phool ka ras sidhe baal ki jado me lagana labhdayak hai.

8. चुकंदर का प्रयोग Use of Beetroot for Hair Loss Treatment in Hindi

Chukandar ke juice me vitamin B, vitamin C, protein, calcium, phosphorus, carbohydrates, aur potassium hota hai. Ye sabhi tattv achchhi hair growth ke liye avashyak hai.   

तरीका Kaise Use Kare

Aap chukandar ka sevan salad ke roop me kar sakte hai ya iska juice bhi pi sakte hai.

Iske alava aap chukandar ki pattiyo ko pani me ubaal (boil) kar pees le aur ise mehndi me mila kar apne scalp par kareeb adhe ghante ke liye laga le. Is prakriya ko hafte me 2-3 baar kare.

9. अलसी के बीज का प्रयोग Hair Fall Rokne Ke Liye Alsi Ka Prayog Kare

Alsi ke beej me omega 3 faty acids hote hai jo baalo ka jhadna rok sakte hai aur new baalo ko ugane me help karte hai.

तरीका Kaise Use Kare

Roj subah ek spoon taje alsi ke beej ko pani ke saath le. Aap ise salad ya khane ki any cheejo me bhi daal kar consume kar sakte hai.

Aap alsi ke beej se bane oil ko baalo me laga kar apne baal majboot bna sakte hai aur hair loss control kar sakte hai.

10. नारियल का दूध Coconut Milk For Hair Loss Treatment Hindi Me

Nariyal (Coconut) ke doodh me protein aur jaruri fats hote hai jo baalo ke badhne me help karte hai aur hair loss ko rokte hai.

तरीका Kaise Use Kare

  1. Pahle nariyal (coconut) ko kas le aur use pani me daal kar 5 minute tak boil kar le.
  2. Thanda hone par ise chhan le, is tarah nariyal ka dudh tayyar ho jayega.
  3. Ab aap ise apne scalp aur baalo me lgakar 20 minut tak chhod de, aur fir baal shampoo kar le.
  4. Chahe to aap isme kali mirch aur methi ke dane bhi mila sakte hain.