Balo Ko Jaldi Lambe Karne Ke Gharelu Upay बालों को तेजी से लम्बा करने के घरेलू उपाय

log hair tips hindi me

Balo Ko Jaldi Lambe Karne Ke Gharelu Upay बालों को तेजी से लम्बा करने के घरेलू उपाय

Har koi chahta hai ki uske baal kale, lambe aur ghane ho. Achchhe baal aapki personality ko nikharte hai. Baal hamare body ki sundarta ko badhane me help karte hai. Isliye apne baalo ko healthy, soft aur shinning banane ke liye unhe bharpur poshan dena bahut jaruri hota hai.

Market me bahut sare products hamare baalo ki dekhbhal ke liye mil jate hai lekin yah costaly hone ke saath saath unme chemical hote hai jo ki baalo ko nuksan pahuncha sakte hai. Jinse hamare baal jhadne ke karan patle ho jate hai. Aap pyaj (onion) ke use se baalo ko jhadne se aur patla hone se rok sakte hai. Pyaj ka ras baalo ki sari problems ko dur karta hai aur baalo ko poshan deta hai.

Pyaj baalo ko jhadne se bachane ke saath saath unhe bhure hone se bhi bachata hai. Pyaj ke ras me kai samagriyo ko milakar apne baalo me laga sakte hai. Pyaj ke ras se sir par malish karte hai to isse blood circulation me sudhar hota hai. Pyaz ke ras me sir par sankraman ko rokne wala baictirial gun hota hai iske saath saath aur bhi kai gharelu upchar hai jo baalo ko patla hone se rokte hai.

Baalo ko jaldi se badhane ke liye gharelu upay बालों को जल्दी से बढ़ाने के लिए घरेलू उपाय-

1. Amla Ka Prayog Kare

Baalo ke liye amla bahut labhdayak hote hai. Amla me Karotinaid jaise poshak tattvo ki maujudgi ke karan baalo ko badhne me help milti hai. Agar aapke baal kale nahi hai to amla aur ritha ka powder mix karke lagaye. Baal kale ho jayenge. Amla ke juse ko saptah me ek bar baalo me lagane se baal teji se badhne lagte hai.

2. Balo Me Potato (Aalu) Ka Prayog Kare

Aalu ko sabne dekha bhi hoga aur khaya bhi hoga. Aalu khane ke saath saath baalo ko teji se badhane me help karta hai. Nahane se pahle scalp par aalu ka ras lagakar, 20 minut baad dho le. Aalu me paya jane vala vitamin aapke baalo ko lamba aur majboot banane me madad karta hai.

3. खीरा (Cucumber) Lagaye

Kheere (Cucumber) me silicon aur sulpher ki matra adhik hone ke karan iske use se baal teji se badhne lagte hai. Iske liye kheere ke ras se apne baalo ko wash kare ya fir kheere, gajar (carrot) aur palak sabko mix karke inka ras pine se baal badhte hai.

Read This Alos – ठंड में चाह‌िए दमकती त्वचा तो ध्यान रखें ये उपाय Sardiyo Me Skin Care Tips In Hindi

4. मेथी Methi Ka Upyog Kare

Sabse pahle aap methi ke beejo ka churn bna le. Fir usme thoda sa pani milakr iska pest bna le. Is pest ko sir par aadhe ghante tak lagakar rakhe aur fir dho de. Aisa karne se baal teji se badhne lagte hai aur balo se dandruff ki problem bhi khatam ho jati hai.

5. Balo Ko Herb Se Wash Kare बालों को हर्ब्स से धोएं

Mehndi, neem aur green tea samet aise kai herbs hai jise baalo par lagane se baal ghane aur lambe hote hai. Mehndi isme sabse jyada asardar hai kyuki yah baalo ki jado yani scalp ko poshan deta hai. Isse baalo me shining aati hai.

Green tea me paye jane wale tattv polyphenols baalo ke badhne me ahem bhumika nibhate hai. Dhyaan rahe ki in herbs ka lep baalo me shampoo aur condishning karne ke baad lagaye. Herbal tea pine se bhi baal lambe hote hai.  

Read This Also  – समय से पहले बाल सफेद हो रहे हैं तो अपनाएं ये उपाय Baal Safed Hone Ka Ilaj

6. Balo Ko Neeche Ki Taraf Jhukaye बाल को नीचे की ओर झुकाएं

Baalo ko lamba karne ke liye sabse popular trick hai. Aamtaur par ladkiyan (girls) baal dhone ke baad baal sukhane ke liye baalo ko niche karti hai. 2-5 minut tak sir jhuka kar baalo ko niche jhukane se baalo ke badhne ki gati tej hoti hai. Aisa mana jata hai ki aisa karne se baalo ki jadh se blood circulation badhte hue baalo ki shirao tak pahunchti hai. Natija baalo ki lambai badhti hai.  

7. Aloevira Aur Honey Ka Istaemal Kare एलोवेरा और शहद

Aloevera aur shahad (hony) baalo ke liye vardan hai. Aloevera me vitamin, seleniyam aur dusre kai prakar ke paushtik tattv baalo ko dandruff se chhutkara dilate hai. Jisse baal healthy, strong aur long hote hai. Aap aloevera gel aur hony ko barabar matra me milakar, ek pest bna len. Fir is pest ko apne baalo me 30 minut ke liye lagakar rakhe aur baad me ise pani se achchhi tarha se dho le.

8. Balo Me Oil Lagaye बालों में तेल लगाएं

Agar baal badhana hai to usme oil lagana hoga. Baalo me takreeban 1 hour ke liye oil laga rahne de jisse baalo ki jadh oil ko puti tarha se sokh le. Sir par halke garam oil se malish kare aur garam pani se duboi hui tauliye se sir dhak kar bhaap le.

9. Balo Me Badam Ka Tel Lagaye बादाम का तेल

Jaldi baal badhane ke liye koi bhi oil kargar nahi hota. Iske liye sabse achchha oil badam ka hota hai. Badam ke oil me vitamin E bhari matra me paya jata hai.

10. Balo Ko Daily Dhule रोजाना धुलाई

Jis tarah se baalo me oil lagana jaruri hai usi tarah se baalo ki safai aur dhulai bhi bahut important hai. Agar aap ke bal lambe hai to unhe hafte me do baar jarur wash kare. Aapke sir ki safai bahut jaruri hai jisse jadho ko saas lene ki jagha mil sake.

11. Balo Ko Dryer Se Na Sukhaye ड्रायर और अन्य मशीनों से दूर रहें

Hot iron, blow dryer ya fir baalo ko coloury karne vali mashino se dur rahe kyuki isse baal kharab ho jate hai. Agar aapke baal lambe hai to use sukhane ke liye dhoop me 5 minut tak khadi ho jaye lakin dryer ka use na kare.  

12. Balo Ko Regularly Trim Karaye ट्रिम करवाएं

Baalo ko 3 month par ek baar jarur trim karvaye, jisse domuhe baalo se nijaat mile. Baalo ko trim karvane se baal jaldi jaldi badhte hai.

Read This Also  – Oily Skin Ke Liye Tips In Hindi ऑइली स्किन की देखभाल कैसे करें

13. Balo Ko Khula Na Rakhe बांध कर रखें

Lambe baalo ko pollution, dhool aur hawa se bachana chahiye. Agar aap kahi safer par nikal rahi hai ti achchha hoga ki baalo ko bandh le ya fir juda bna le.

14. Balo Ke Liye Jarori Khan-Paan बालों के लिए जरुरी खान-पान

Dudh, paneer, yogart, saboot anaaj, palak, evakado, brokali, selmon, patta gobhi, oats, akhrot, taje phal aur hari sabjiyo ke juse ka sevan kare.