इंग्लिश बोलना सीखे 30 दिनों में English Bolna Kaise Sikhe Hindi Me

speak english in 30 days

English bolna kaise sikhe – English sikhne me kuch important points aapko help karenge. Aaj ke time me english bolna behad jaruri hai jise english bolne evam samajhne me taklif hoti hai vo vyakti aapne aap ko heenta ki drishti se dekhta hai aur aatm vishvas ki kami mahsus karta hai.

English koi jadu ki chhadi se nahi sekhi ja sakti. Iske liye hame apni daily routine me kuch vishesh badlav karne ki jaroori hoti hai. Ham kai tarah ke vigyapan padhte hai, english sikhe only 30 days me, aaye hindi bolte hue aur jaye english bolte. Yah sab tag line padhne sunane me bahut achchhi lagti hai aur dil ko shanti bhi deti hai ki ham bhi aasani se english bol payenge. Lekin sochne wali baat hai ki english ek language hai jise na to chutkiyo me sikha ja sakta hai na hi yah itni kathin hai ki ise kabhi sikha hi na ja sake.

कैसे सीखे इंग्लिश बोलना English Speaking Tips In Hindi

1. Sabse pahle darna band kare:

English ek bhasha (language) hai aur yadi aapko nahi aati to iska yah matlab nahi ki aap us baat se jhijhak mahsoos kare. Agar aap truth ko accept karke use sikhne ka paryas nahi karenge to kabhi nahi seekh payenge. Apne andar ke dar ko nikal kar english sikhne ka man banaye.

2. English se sampark badhaye

Matlab hindi ke news pepar ke saath english news papar padhe shuruaat me padhi hui khabar hi padhe jisse aapka man lagega. News papar me apni ruchi (interest) ki khabar padhe. Dhire-dhire padhne ka samay badhaye. English magazine and novel padhe. Agar aapko padhne me ruchi nahi hai tab english comix ya koi english story books se shuruaat (start) kare and koshish kare ki aap jor-jor se padhe, isase aapki ruchi and aatmvishvas (Self-confidence) dono badhega.

3. Shabdkosh Badhaye

Aas Pass ki ya everyday ki cheejo ko english me kya bolte hai yah kisi se puchhkar athwa internet par dekh kar yaad kar le aur unhe namo se sambodhit kare jaise chammach ko spoon, kursi ko chair is tarah se apne dayre badhate jaye jisse aapke shabd kosh me vriddhi hogi saath hi aapka aatmvishvas badhega.

4. T.V. ka use english sikhne me kare

Sahi uchcharan ko seekhne evam english ko samajhne ke liye english news, movi, show ya songs dekhe env sune. Shuruaat me cartoon dekhne se aapki ruchi badhegi kyuki cartoon ki english eassy aur samajhne me asaan hoti hai iske alava jis movi me english line chalti hai use dekhe isse bhi asani hoti hai english samajhne me.

5. Mirror / aaine ka use kare

Apne aapko aaine me dekhkar english me baat kare agar taklif hoti jai to aadhe adhure sentance bole par roj isi tarha practice kare. Dhire dhire apni aadat (haibbit) badhaye aur apne friends aur relatives se english me baat kare.

6. Sahi aur galat ka vichar na kare

English bolte waqt grammer env rules me na phase. Yah aapko sochne par majbur karte hai jisse constration kharab hota hai grammer samay ke saath saath env english se sampark badhne ke saath saath apne aap hi theek ho jayegi. English bolne ke liye grammer ka vishesh gyan hona jaruri nahi hai.

7. Social website ka kare sahi use

Aap sabhi ke social website aur messenger par account hai jaha aap ghanto dosto se chaitting karte hai yah ek achchhi jagha hai jahan aap apne friends se english me chait kar sakte hai kyuki yaha aap apne dosto se eye contact nahi karte jis karan aapko hezitation feel nahi hota aur aap asani se practice kar sakte hai. Sath hi kai bade logo ke blog evam articals padhe, jisse aapka shabdkosh evam atmvishvaas badhega.

8. Har waqt result ki ummid se english na seekhe

Hame pata hai aap jald se jald english bolna chahte hai lakin isme waqt lagta hai jiska aapko wate karna hoga jaise ek din me cicle chalana nahi aata uski prectice karni hoti hai vaise hi english nahi ajayegi use bhi dil se time dena hoga. Lakin is baat ki guarantee hai ki upar likhe sabhi points ko agar aap theek se apne life me shamil karenge to ek din achchhi english bol sakte hai.