
मेहँदी का गहरा रंग और उसे लम्बे समय तक रखने के तरीके | Mehndi Dark Colour And Long Lasting Tips in hindi –
Hamare bhartiya samaj me mehndi (Henna) kafi shubh mani jati hai, jo women, girls ki pahli pasand hoti hai. Mehndi ko women ke suhaag ka prateek bhi mana jata hai. Har teej, tyohar, shadi-vivah ya koi bhi khushi ke mauke par mehndi lagane ka pravdhan hai. Mehndi ek kalaa hai, jo sundar-sundar design ko hamare haath pair me bana deti hai. Bharat me har jaati, dharam ke log mehndi ko shubh mante hai, aur ise lagate hai. Mehndi ka colour jitna gahra hota hai, kahte hai pyaar utna gahra hota hai.
मेहँदी का गहरा रंग और उसे लम्बे समय तक रखने के तरीके – Make Mehndi Colour Dark And Long Lasting Tips in hindi
Bharat me shadi ke samay dulhano ko mehndi lagana ek rasm hoti hai, jo jyadatar dharmo me apnai gai hai. Dulhan ki mehndi ka color jitna gahra hota hai, kahte hai uska pati usse utna hi adhik prem karta hai. Har dulhan ka sapna hota hai, uski mehndi ka rang dark rahe. Dark colour ki rachi mehndi lage haath, dulhan ki sasural me bhi vaah-vaahi karte hai. Mehndi lagana sabhi ko pasand hota hai lekin jab iska colour dark nahi hota hai to man kharab ho jata hai. Mehndi ka dark colour aur use der tak rache rahne ke kuch tarike hai, jise mai aaj aapke saath saajha karti hoon.
मेहँदी लगाने से पहले इन बातों का ध्यान रखें (Things To Remember Before Applying Mehndi) –
- Mehndi ki desine pahle se chun le, jisse apko mehndi lagvani hai, usko pahle se inform karke, time fix kar le.
- Agar aap ghar me tayyar karke mehndi lagana chahti hai, to uski taiyari pahle se shuru kar de. Kyuki isme time lagta hai. Vaise aajkal market me bani mehndi ki cone milti hai, jo kai variety me aati hai.
- Mehndi lagane se pahle haath pair achchhe se sabun (soap) se dho le, jisse kisi tarah ki gandagi, oil haath me na rahe, aur mehndi gahrai tak pahunch kar rang la sake. Mehndi jitni gahrai tak pahunchegi, colour utna dark ayega.
- Haath ko dhone ke baad koi cream ya oil na lagaye.
- Mehndi lagana shuru karne se pahle, mehndi se juda samaan sab rakh le jaise purana kapda, scissor etc. Baar-baar uthne se design kharab hoti hai, aur rang bhi alag alag chadhta hai.
- Mehndi lagate time jyada light vali jagah me baithe.
- Mehndi shuru karne se pahle aap washroom bhi hokar aaye, jisse beech me jane ki jarurat na pade. Aur bhi koi jaruri kaam ho to kar le.
- Mehndi lagate samay sun ki light me nahi baithna chahiye, na hi mehndi ko sun ki light me sukhana chahiye. Isse design kharab hoti hai. Ham chahte hai, mehndi jaldi se sookh jaye, isliye sun ki light me sukhane ki koshish karte hai, lekin mehndi sookhne me apne hisab se samay leti hai, aisa kuch karne se jaldi nahi sukhti hai.
- Mehndi lagane ke baad, waxing, pedicure, menicure nahi karvana chahiye. Isse mehndi ki upari layer nikal jati hai, aur mehndi dhuli-dhuli dikhne lagti hai. Aap ye mehndi lagvane ke pahle kare, phir mehndi lagvaye, isse aapke haath, pair bhi sundar lagenge.
मेहँदी का गहरा रंग पाने के तरीके (How to Make Mehndi Darker for Hands)
- Kisi bhi festival ya marriage ke kam se kam 2 din pahle mehndi lagvaye. Isse us function ke din tak, aapki mehndi ka rang bahut gahra aur achcha ho jayega. Mehndi lagane ke just doosre din mehndi apne poore asar par nahi hoti hai, ise bhi chadhne me 1-2 din lagte hai.
- Mehndi lagane se pahle haatho, pairo me coconut oil lagaye, isse khushbu bhi bahut achchhi aati hai.
- Mehndi ko apne aap sookhne de, fan ya cooler ke samne sukhane ki koshish nahi kare, isse design kharab hogi. Mehndi ko blow dryer se bhi nahi sukhana chahiye, isse bhi design kharab hoti hai.
- Mehndi jitni der tak lagi rahegi, uska colour utna hi dark aayega. Iske liye agar aap raat ko mehndi lagate hai aur raat bhar aise hi rahne dete hai to 12 ghanto me iska colour bahut achchha aa jayega. Mehndi 10-12 ghante lage rahne se uska colour badhta hi jata hai.
- Mehndi jab thodi sookhne lage tab, nimbu aur shakkar ka mixture cotton ki help se, halke haatho se lagaye. Isse mehndi ki design chipki rahegi, aur jharegi nahi. Isse aap lambe samay tak ise apne haath me lagaye rah sakte hai. Nimbu aur shakkar ki mixture ki ek limit me hi lagaye, adhik matra se design kharab ho jayegi.
- Mehndi sookh jane par aap laung ka smoke bhi le sakte hai. Iske liye ek tawe par 4-5 laung ko daalkar garam hone de. Jab isse dhuaa nikalne lage, tab apne haath iske upar rakhkar seke. Ye tab tak kare, jab tak adhik garam na lagne lage. Thodi der hata kar dobara kare.
- 10-12 hour baad mehndi ko jharakar, viks ko apne haath me lagaye, isse garmahat milti hai jisse mehndi gahra rang lati hai.
- Aap wax ko ghis kar bhi apne haath me laga sakte hai.
- Iske alava kisi aachar ke oil ko haatho me lagaye. Isse bhi gahra colour aata hai.
- Agar aapne mehndi 2-3 ghante me hata di hai, to bhi kam se kam 10-12 hour mehndi me pani na padne de.
- Kuch log kahte hai, mehndi lage haatho ko panni (पन्नी) se dhak dene par vo adhik gahra rang lati hai lekin aisa khud se karna danger hai, isse design kharab ho sakti hai. Yah aap mehndi lagane wale se puchh kar aur uski madad se kar sakte hai. Iske alava aap kisi aur se bhi madad le len, medical pepar tape ko haatho me lapeta ja sakta hai.
- Mehndi hatane ke turant baad, pani nahi dalna chahiye.
- Mehndi lage haatho me pani dalna bhi pade, to kabhi haatho ko apas me ghisna nahi chahiye.
- Pani pad jaane ke baad, aap haatho me petroleum jelly laga le. Isse mehndi ka rang surakshit rahega.
Mehndi ke other upyog (Henna Other Uses)– mehndi sajane ke alava, iske bahut se health benefits bhi hai-
1. Thandak deta hai मेहदी ठंडक देती है – mehndi me thandak dene vale tattv hote hai, kisi kate hue sthan ya jale hue sthan me ise lagane se thandak milti hai. Yah gharelu dawai (medicine) bhi hai, adhik fever hone par mehndi laga kar temperature ko kam kiya ja sakta hai. Garmi me lu lagne par bhi mehndi lagane se araam milta hai.
2. Sir dard dur kare सिर दर्द दूर करने में लाभकारी – jyada der tak dhoop, surya ke niche rahne se dard hone lagta hai, ise kam karne ke liye taji mehndi ki patti ka paste banakar, usme vinegar milaye. Fir is paste ko forehead me lagaye. Isse bahut jaldi araam milega.
3.Ganjapan dur kare (गंजापन दूर करे) – mehndi ki pattiyan ganjapan ki pareshani bhi dur karti hai. Iske liye sarso ke oil me mehndi ki kuch patti ko ubale, ab ise chhankar, sir ki massage kare. Isse balo ki growth badhegi. Aap is oil ko ek bottle me band karke rakhe, aur regular upyog kare, fayda hoga.
4. Daag dhabbe dur kare (दाग धब्बे दूर करे) – Mehndi se body me hone wale daag, chakatte ke nishan dur hote hai. Yah tanning ki bhi problem ko dur karne me help karta hai.
5. Gathiya Ka Ilaj (गठिया दूर करे) – Gathiya ke rogi ko mehndi ke oil se massage karni chahiye, iske lagataar upyog se dard kam ho jata hai.
6. Baalo ke liye faydemand (बालों के लिए फायदेमंद) – Heena balo ke liye sabse achchha conditioner hota hai. Saath hi heena lagane se baalo ko achchha colour milta hai. Mehndi baalo me lagane se baal chamakdar, soft, strong, ghane hote hai, saath hi dandruff ki problem dur hoti hai. Mehndi bahut achchha natural dye hota hai.
6. Tattoo Banye टैटू बनाएं – Mehndi ka sabse common use yahi hai. Bharat me mehndi se kai tarha ki design banai jati hai, aajkal to log isse baju me bajuband, gardan me, kamar me tarah-tarah ke tattoo banvate hai.
Saavdhani सावधानी – Mehndi ko bachcho ki pahunch se dur rakhna chahiye, agar vo ise munh me le lete hai, to pareshani ho sakti hai. Aajkal ki jo bani banai cone aati hai, usme mehndi ke saath bahut se chemical bhi milaye jate hai, jisse ye hanikarak hota hai.
मेहँदी के प्रकार (Types of Mehndi) –
- Indo-Arabic design इंडो – अरेबिक डिजाईन
- Morakkan mehndi design मोरक्कन मेहँदी डिजाईन
- Arabic mehndi अरेबिक मेहँदी
- Dulhan mehndi design दुल्हन मेहँदी डिजाईन
- Pakistani mehndi design पाकिस्तानी मेहँदी डिजाईन
- Indian mehndi design भारतीय मेहँदी डिजाईन
- Glitter mehndi ग्लिटर मेहँदी
- Multi-colour mehndi design मल्टी कलर मेहँदी डिजाईन
- Mughlai mehndi मुघलाई मेहँदी