
Oily Skin Ke Liye Tips In Hindi – Amtaur par tvacha 4 tarah ki hotee hai – Normal, Dry, Oily aur Sensitive. Oily skin means aapki skin me lipid level (fat ki matara) ka jyada hona. Apki skin kis type ki hai yah 3 baton par nirbhar karta hai – water, lipid level, sensitiveness. Oily skin aksar hormonal change hone ki vajah se hoti hai aur iska sambandh aapki lifestyle se bhi hota hai. Oily skin moti, chamakdaar, aur bejaan hoti hai. Is tarah ki skin vaale purush aur mahilon ki aankho ke neeche kaale dhabbe aane ka khatara rahata hai. Oily skin me bade-bade chhidra hote hai aur Sebaceous Glands active hote hai. Iska nateeja oily skin hota hai.
Oily Skin Ki Samsya Kyon Hoti Hai क्यों होती है ऑइली स्किन की समस्या
1. Menstruation Ke dauraan Hormonal Changes Hone Se माहवारी के दौरान हार्मोनल बदलाव
Har mahine masik dharm ke dauran mahilaon ke shareer me hue hormonal change se oily granthi jyada sakriya ho jaate hai. Is samay nikale vaale Androgen Hormone ke karan skin me jyada oil nikalne lagta hai, jisase skin ke holes bhi band ho jaate hain.
2. Stress Se Bhi Oily Skin Ki Samasya Hoti Hai तनाव से भी बढ़ती है ऑइली स्किन की समस्या
Mansik ya sharirik tension hone se hormonal balance kharab ho jaataa hai. Ek research ke anusaar tension ke samay body se Cortisol Hormone nikalta hai jiski vajah se skin oily ho jaati hai.
3. Garbhnirodhak Pills Se Bhi Hoti Hai Oily Skin गर्भनिरोधक गोलियों से भी होती है स्किन ऑइली
Apki lifestyle ka bhi skin ki sehat par prabhaav padta hai. Agar aap birth control ke liye Contraceptive Pill ya fir yaun shakti badhane ke liye koi medicine le rahi hain to aapke shareer me hormonal level badhta hai, jisase skin oily ho sakte hai.
4. Heredity Bhi Ho Sakti Hai Oily Skin Ka Karan आनुवांशिकता भी है वजह
Research me paaya gaya hai ki oily skin ka seedhaa sambandh hamare jeens se bhi hota hai. Isliye yadi apke mother-father ki skin oily hai to is baat ki kaafi possibility hai aapki skin bhi oily ho. Kyoki aisa dekha gaya hai ki jin logon ki skin me Sebaceous Glands active rahti hain unke kids me bhi ye Glands jyada active rahti hai.
5. Oily Skin Hone Ke Other Reason
- Your Diet
- Pregnancy
- Galat Cosmetics Ka Istemaal
- Garmi aur umas ke karan
Oily Skin Ki Care Ke Tips ऑइली स्किन की देखभाल के लिये केयर टिप्स
1. Skin Ki Cleansing Kare– Chehre ke pores se Oil aur gandagi ko saaf karne ke liye Cleanser use kare. Uske baad apne chehre ko gungune paani se dho len.
Din me 2 se 3 baar chehra dhoyen. Week me 2 baar fece scrub kare. Isase chehre ki skin ko saans lene me help hogi aur chehre par Blackheads bhi nahi hoge.
2. Skin Ki Toning Kare – Aap apane chehre ki toning regularly kare. Chehre par toner lagaye jisase skin ke pores band ho jaay, nahi to khule pores me fir se gandagi jama ho sakti hai. Gulab jal ko bhi toner ki tarah istemaal kar sakte hai.
3. Skin Me Moisturizer Lagayen – Oily skin me oil hota hai, lekin iska yah matlab nahi hai ki aap skin me moisturizer na lagayen. Oily skin wale logon ko water base wala moisturizer lagana chahiye.
4. Face Mask Lagayen – Face mask lagane se chehre ki dead skin nikal jate hai aur chehra khil jaata hai. Lekin market se face mask kharidne se achcha hai aap gharelu chejon jaise – Lemon, oats, egg, milk, papaya se ghar par hi face mask banakar istemaal kare.
5. Hamesha Healthy Food Khaye – Jinki skin oily hai unko fatty food nahi khana chahiye. Fruits, green sabzi jyada matra me khana chahiye. Saath hi green tea, juice aur paani adhik se adhik lena chahiye.
Other Oily Skin Care Tips
- Cailamine pack me Vitamin – C toner milakar peste bana le aur ise week me 3 baar chehre par lagayen. 20 minute ke baad chehra dho le.
- Multani mitti, chandan powder, aur neem powder ko equal quantity me lekar gulab jal ke saath milakar week me 2 baar chehre par lagaye. 30 minute ke baad paani se chehra dho le.
- 10 -12 Gilas paani roj piye. Mirch -masale aur fast food ko bole bye -bye. Morning me khali pet ek Amla khaye.
- Lips me lip balm jaroor lagaye chahe jitni garmi ho.
- Powder ka istemaal na hi kare to achcha hoga, kyoki powder lagane se pasina adhik aata hai.
- Yadi aapka chehra oily hai to apne chehare se gandgi ko hatane ke liye face scrub karna na bhoole.
- Hamesha lite eye shadow use kare. Koi aisa shade select kare jo apki skin tone se match karta ho.
- Waterproof maskara lagayen kyoki waterproof maskara dinbhar eyes me tika rahta hai.
Tags: Oily Skin Ke Liye Best Cream In Hindi, Teliya Twacha ke Liye Face Wash, Oily Skin Ke Liye Best Face Wash, Gharelu Upaye