
Kya aap bhe YouTube me Video upload karate hai ? Kay aap bhe janana chahte hai ki YouTube Me Custom Thumbnail Kaise Banaya Jata hai? Ya aap janana chahte hai ki YouTube display hone wali image (icon) ko kaise badalte hain.
To aaiye yahan janate hai ki yah kaise kare. Step by Step Tarika Yahan diya gaya hai. Aur iske saath hi neeche video bhee hai jise dekhkar aap svayam samajh sakte hai.
Step 1: YouTube Account me login kare.
Step 2: Click on Video Manager and then to channel. Yahan aap dekhege ki aapake Youtube account me custom Thumbnail disabled hai jise aapko sabse pahle enable karna hai.
Step 3: Custom Thumbnail enable karne ke liye aapko apane account ko verify karna hoga. Account verify karene 2 tarike hai. Pahla aap apane account me Google Adsense enable kare, jo ki custom thumbnail ke upar hi hai. Doosara tarika hai apane account ko verify karna. Aap apane account ko verify karne ke liye “verify” button me click kare. Agali screen me aapse mobile number (SMS bhejane ke liye) ya landline number call karne ke liya bharna hoga. Mobile number par bhe aap call ke liye select kar sakte hai. Is prakar aapke selection ke anusar apko call/SMS ayega jisame 6-digit ka code milega.
Step 4: Agli screen me 6-digit ka code bhare aur aapka account verify ho jayega. Ab aap dekhege ki custom thumbnail apake account me enable ho gaya hai.
Step 5 : Ab aap video manager me jaye aur us video ke edit me click kare jisaka thumbnail aap badalana chahate hai.
Step 6: Is screen par aap payege ki custom thumbnail upload ka option/button hoga. Ise click kare aur file ko select kare. File ka adhiktam size 2MB hai joki JPG, BMP format me ho sakta hai.
Step 7 : File upload hone ke baad aap dekhege ki aapke us video ka thumbnail image/Icon badal gaya hai.
Neche Video Dekhe Jisme Hindi Me YouTube Me Custom Thumbnail Kaise Banaye ke baare me diya gaya hai.
Thank you admin,I have enabled custom thumbnail after reading this post.however If you can add some images it will be more helpful to me.
Ok. Thanks for your suggestion